Kahani har fridge ki!!!
main ek fridge hu,
kabhi main family ka
saath,
kabhi main dosto k
haath,
kabhi main showroom ki
shobha badhata hu,
main ek fridge hu!
mujhme kabhi taazi
sabzi,
kabhi purana sada hua
ghiya rakha jata hai,
kabhi main falon ki
tokri,
kabhi giri hui pepsi
chaat-ta hu,
main ek fridge hu!
har koi mujhe kholta
hai (isme kuch bhi NV nahi hai)
kabhi kuch daalne k
liye, kabhi nikalne k liye rakhta hai (isme bhi kuch bhi NV nahi hai)
bachche baar baar mere
darwazon se khelte hai,
fir bhi main wahi
khada rehta hu,
main ek fridge hu!
compressor mera hai
bada hi strong,
kare har garam cheez
ko thanda,
jab bhi mujhme gire
koi samaan,
har baar mann yahi
gaata hai
Sab ganda hai par
dhanda hai!
main ek fridge hu!
raat ke andhere me
bhi,
dikh jaaye saara
samaan,
hai mere andar prakash
ki roshni(mind the words rascala)
kuch bhi, kabhi bhi
nazar aata hai.
ganda lagta hai tab
mujhko,
jab raat me koi
bachcha,
mujhme
"muthravisarjan" kar jaata hai : (
sirf dekhta reh jata
hu,
us amrit ki khushbu se
prafullit ho jaata hu(sarcasm)
main ek fridge
hu!
mujhpe kabhi
chidiya,kabhi chuha, kabhi haathi chip kaya jata hai,
bacho ko padhane k
liye A to Z bhi lagaya jaata hai,
agar sab kuch mujhi se
seekh lenge bachche,
to mujhe tuition
teacher kyo nahi mana jaata hai???
Amitabh ko degree dedo
Phd ki kuch na karne pe,
aur mujhe sirf kone me
rakha jata hai!
kyonki. .
main ek fridge hu!
yaad aa jaati hai
naani daadi,
jis din main beemaar
ho jaata hu,
karo kharcha ab
mujhpe,
hazaaron se kam nahi
aata hu,
main ek fridge hu!
naya fridge laate
hi,
bhool jaate ho mujhko,
yaad karo wo din wo
raatain,
jab paal raha tha main
tujhko!
samajh nahi aa
raha,
aakhir me kya kahoon,
bas yahi guzarish hai
meri,
plz main bhi saaf
rehna chahta hu,
main ek fridge
hu!!!!!!!
No comments:
Post a Comment