Sheesha. . .
main sheesha tha, hu
aur ek din toot jaunga,
auron ki khushi k liye
ek din un sab se door jaunga,
sabki apni khushiyan,
apne jazbaat hote hain,
un jazbaton ki khatir,
apne me main unko sab kuch dikhaunga. .
mere jazbaat aaj bhi
chupe huey hi hain,
aaj bhi tanha hu iss
bheed me,
sabko sabkuch deke iss
jahan se chala jaunga. ..
main sheesha hu, meri
chamak se main heera nahi kehlaunga,
sabke chehre pe
muskurahat deke,
ek meethi si yaad
deke,
iss bheed me apne aap
ko chupa jaunga..
fir se subah ki roshni
me apne armano ka chaand doobta hi paunga,
andhere me rahunga
sabke saath aur roshni me khudko akela hi paunga,
jinko apna samajhta
tha, aaj wahi kisi aur k sapne dekha karte hain,
unko main apne andar
wahi sapne dikhake,
kisi aur ke saath unko
unhi ka pratibimb dikha ke,
unko sapno ki haseen
duniya me le jaunga,
main sheesha tha, hu
aur ek din toot jaunga. .
sabke sapno me apni
khushiyan dekhna,
unki khushiyo ko apna
sapna banana,
aajtak main wahi karta
aaya hu,
apne sapno ki chita pe
unke sapno ki duniya basata aaya hu,
sabme khushiyan baant
ta aaya hu, khushiyan baant ta jaunga,
main sheesha tha, hu
aur ek din toot jaunga. . .
ban sakta tha main bhi
heera,
sabki khaatir apne
armaano ka khoon kiya,
they mere bhi apne
kuch sapne,
doosron ki khatir,
raaton ko sona band
kiya,
ruk gayi meri duniya
wahin,
jahan se auron ki
khushiyo ki shuruat hui,
main sheesha tha, hu
aur ek din toot jaunga. .
No comments:
Post a Comment