Wednesday 6 June 2012


Kahani har fridge ki!!!

main ek fridge hu,
kabhi main family ka saath,
kabhi main dosto k haath,
kabhi main showroom ki shobha badhata hu,
main ek fridge hu!

mujhme kabhi taazi sabzi,
kabhi purana sada hua ghiya rakha jata hai,
kabhi main falon ki tokri,
kabhi giri hui pepsi chaat-ta hu,
main ek fridge hu!

har koi mujhe kholta hai (isme kuch bhi NV nahi hai)
kabhi kuch daalne k liye, kabhi nikalne k liye rakhta hai (isme bhi kuch bhi NV nahi hai)
bachche baar baar mere darwazon se khelte hai,
fir bhi main wahi khada rehta hu,
main ek fridge hu!

compressor mera hai bada hi strong,
kare har garam cheez ko thanda,
jab bhi mujhme gire koi samaan,
har baar mann yahi gaata hai
Sab ganda hai par dhanda hai!
main ek fridge hu!

raat ke andhere me bhi,
dikh jaaye saara samaan,
hai mere andar prakash ki roshni(mind the words rascala)
kuch bhi, kabhi bhi nazar aata hai.
ganda lagta hai tab mujhko,
jab raat me koi bachcha,
mujhme "muthravisarjan" kar jaata hai : (
sirf dekhta reh jata hu,
us amrit ki khushbu se prafullit ho jaata hu(sarcasm)
main  ek fridge hu!

mujhpe kabhi chidiya,kabhi chuha, kabhi haathi chip kaya jata hai,
bacho ko padhane k liye A to Z bhi lagaya jaata hai,
agar sab kuch mujhi se seekh lenge bachche,
to mujhe tuition teacher kyo nahi mana jaata hai???
Amitabh ko degree dedo Phd ki kuch na karne pe,
aur mujhe sirf kone me rakha jata hai!
kyonki. . 
main ek fridge hu!

yaad aa jaati hai naani daadi,
jis din main beemaar ho jaata hu,
karo kharcha ab mujhpe,
hazaaron se kam nahi aata hu,
main ek fridge hu!

naya fridge laate hi, 
bhool jaate ho mujhko,
yaad karo wo din wo raatain,
jab paal raha tha main tujhko!

samajh nahi aa raha, 
aakhir me kya kahoon,
bas yahi guzarish hai meri,
plz main bhi saaf rehna chahta hu,
main ek fridge hu!!!!!!!

No comments:

Post a Comment