Wednesday 6 June 2012


Sheesha. . .

main sheesha tha, hu  aur ek din toot jaunga,
auron ki khushi k liye ek din un sab se door jaunga,
sabki apni khushiyan, apne jazbaat hote hain,
un jazbaton ki khatir, apne me main unko sab kuch dikhaunga. .

mere jazbaat aaj bhi chupe huey hi hain,
aaj bhi tanha hu iss bheed me,
sabko sabkuch deke iss jahan se chala jaunga. ..

main sheesha hu, meri chamak se main heera nahi kehlaunga,
sabke chehre pe muskurahat deke,
ek meethi si yaad deke,
iss bheed me apne aap ko chupa jaunga..

fir se subah ki roshni me apne armano ka chaand doobta hi paunga,
andhere me rahunga sabke saath aur roshni me khudko akela hi paunga,
jinko apna samajhta tha, aaj wahi kisi aur k sapne dekha karte hain,
unko main apne andar wahi sapne dikhake,
kisi aur ke saath unko unhi ka pratibimb dikha ke,
unko sapno ki haseen duniya me le jaunga,
main sheesha tha, hu aur ek din toot jaunga. . 

sabke sapno me apni khushiyan dekhna,
unki khushiyo ko apna sapna banana,
aajtak main wahi karta aaya hu,
apne sapno ki chita pe unke sapno ki duniya basata aaya hu,
sabme khushiyan baant ta aaya hu, khushiyan baant ta jaunga,
main sheesha tha, hu aur ek din toot jaunga. . .

ban sakta tha main bhi heera,
sabki khaatir apne armaano ka khoon kiya,
they mere bhi apne kuch sapne,
doosron ki khatir,
raaton ko sona band kiya,
ruk gayi meri duniya wahin,
jahan se auron ki khushiyo ki shuruat hui,
main sheesha tha, hu aur ek din toot jaunga. . 

No comments:

Post a Comment